Thursday 4 June 2015

respet ur relationship

Ek nayi naveli dulhan shadi ke baad sasural aayi,
Thodi sharmayi,thodi sakuchayi.
Jaise hi dahleez paar kar aayi,
Saas boli tum pati ke pairo ki juti ho pairo me rahna,
Kabhi sar ka taaz banne ki koshish na karna.
Dulhan sann rah gayi...
Aankho me nami aayi,maa ki yaad aayi...
Maa ne kaha tha ki beta ab tu pati ka taaz hai..
Hamesha uska samman badhana..
Kushi me muskrna or dukh me uska sath nibhana..
Yaha to paribhasha hi badal gayi..
Taaz se seedha juti me palat gayi..
Bahu khamosh rahi kuch na boli...
Use udas dekh pati ne dheere se uska hath dabaya..
Aankho ke ishare se use chup karaya..
Ankho se bola tumhari jagah mere pairo me nahi mere dil me hai..or hamesha rahegi..
Mujhe nahi pata ye duniya kya kahegi..
Par aaj se tum meri zindgi ka bahut aham hissa ho,
Jise har waqt ab mere sath rahna hai..
Bolo kya tum mera sath nibhaogi...
Mere muskrane pe muskarogi..
Mere ladkhdane pe mujhe tham paaogi...
Aankhe fir se nam ho gayi,per khushi ke aansoo se..
Usne dheere se gardan hilai.
Dono ne samne dekha or fir rashme aage badhai...
(respect ur relationship)

zindagi..


Aye zindagi her mod pe tune imtihan liya,
 kathputali banake hume khub nacha diya,
 soachne lagte hai to lagta hai kuch aisa,
 kya the hum or tune hume kya bana diya...

Maa ka din..


Tujhse shuru hoti hai mere jeewan ki kahani
 janti hai tu mujhko tabse, jb sari duniya thi mujse anjani,
 sabse pahle mujhko tune chua MAA,
 us chuan ka kuch aisa asar hua MAA,
 ki aaj bi jab teri wo chuan mujhe chu jati hai,
 meri sari thakan , sara dard , sari pareshaniya gayab ho jati jati hai,
 mere har dard ka ilaz hai tu MAA,
 tu nahi to diniya me kuch nahi hai haan,
 MAA banke hi maine tere ahshas ko samjha,
 MAA banke hi maine tere jajbaat ko samjha,
 MAA banke hi main is baat ko samjh paai,
 MAA hoti hai duniya ki sabse badi sachhai,
 NISWARTH, SACHHI , MAMATA ki murat,
 sabse pyari , sabse achhi , maa teri surat...

HAPPY MOTHER'S DAY MUMMA

Barishhh...


Thandi thandi hawaye,rimjhim ki fuhar or mitti ki saundi khushbu...ye BARISH.
 Ufffff ye barish..
 Ye barish jab bhi aati hai,
 Andar tak kuch gudguda jati hai,
 Pahle thandi thandi hawaye balo ko sahlati hai..
 Fir halke se barish ki buachar lati hai..
 Ji karta hai fir is barish me bheeg jaye.
 Tere hatho me hath daal kahi ghum ke aaye..
 Kahi door ek chay ka tappa ho..
 Waha baith chay ki chuskiya lagaye...
 Kuch tum gungunao,kuch hum gungunaye..
 Barish ki in thapo pe gate chale jaye...
 "DIL TO PAGAL HAI,DIL DIWANA HAI"

Wednesday 3 June 2015

Maa

Few days bfore,i participated in a singing competition which is organised by "Dainik Bhaskar".After  performing on stage when i came back on my seat,my daughter said, "Maa i am proud of u". I was soooo touched.At that time she was just like my mom.My little mom.Then i decided 2 write a poem on my "Two moms".
Here it is....
Aaj jab Maine stage pe geet Gaya,
Logo ko wo bahut bhaya,
Logo ne taliya bajai,mera hausla badhay..
Per meri beti ne meri maa ka farz nibhaya...
Usne jab bola,use mujhpe hai garv,
Mujhe yaad aaya ,mere bachpan ka waqt,
Bachpan me jab bhi main kuch achha karti thi,
Sabse jyada khusi meri maa ko hoti thi,
Meri maa ne hamesha mera hausla badhaya hai..
Or us kram ko meri beti ne aage badhya hai,
Bahut khush hu aaj Ki mere pass do maa hai..
Ek choti,Ek badi..
Or mujhse judi hai in dono Ki kadi......

Question ki khadan hai...

Questions ki khadan hai meri BETI,
 Thodi si nadan hai meri BETI.
 Meri har baat pe "KYU" kahti hai,
 Aisa KYU Waisa KYU kahke mere peeche padi rahti hai.
 Meri bindi,mere clutures or meri chudiya chipati hai,
 Baad me un sabko apna batati hai.
 Choti si umar me badi badi baate banati hi,
 Agar daantu main usko to rone sa muh banati hai.
 Meri sikayat apne papa se or unki mukse lagati hai,
 Or phone pe apni dadi ko hamare kissse sunati hai.
 Agr jana ho kahi tab hamesa hi jhgdti hai,
 Hamesa apne choice ke hi kapde pahnti hai.
 Din bhar ghar me modeling ka program chalta hai,
 SHISHE ke samne khada hona usko achha lagta hai.
 "Mummy main heroine banungi per dadu to mujhe doctor banana chahte hai"are yaaarrr..
 Theek hai main doctor ban jaungi...per mummy main cluture lagaungi or lipistic bhi...ok
 hahahahaha hahahaha
 Uski is masoom si bato pe mujhe hansi aati hai..
 Or meri sari thakan gayab ho jati hai.....
 luv u GUNNU

Jab tak hai jaan..

Tera nanhi-2 unglio ko mere baalo me firana..
Daud ke jake tel Ki shishi lana..
Nanhi-2 unglio se use mere balo me lagana..
Or 2 minute. baad hi puchna mamma dard sahi ho gaya...
Nahi bhulungi main jab tak hai jaaaan..
Mere rone pe rona.mere muskarane pe muskarana..
Mere her kaam pe daud ke aage aana..
Mere liye apne papa se lad jana...
Nahi bhulungi main jab tak jaaan...
School se aate waqt,school Ki kahaniya sunana..
Wo baar-2 chate Ki siti bajana..
Chate ko baar-2 raste pe girana..
Fulo ko todke apne balo me lagana..
Nahi bhulungi main jab tak hai jaaan...
Ghar aake tera wo kapdo ko naach-2 ke utarna..
Mere daantne pe tera bathroom me jana...
Mere sath,meri thali me khana..
Per pura dhyan sirf cartoon pe lagana...
Nahi bhulungi main jab tak hai jaaan...
Raat ko sote waqt ajeebogarib kahaniyo ki farmaishe karna..
Hiran-jalpari Ki kahani, bandar or giraffe Ki kahani..or na Jane kya kya..
Mere kahani na sunane pe muh banake rona..
Phir kahani sunane pe maan jana..
Or mere gale me bahe daal ke tera so jana..
Nahi bhulungi main jb tak hai jaaan...